Monday, January 23, 2012

मेरे घर का पता ...

I got married recently. And as per the perplexing traditions of our society, I left my parent's home and entered a new home with a loving new family. Amidst all the celebrations and excitement, I wonder where do I belong now... This blog defines that for me. (I will include the English translation sometime later.)

जहां आसमान कुछ ज्यादा बड़ा सा है
जहां बोली का रंग थोड़ा खरा सा है
जहां धूप में कुछ ज्यादा गर्मी सी है
जहां हाथों में कुछ ज्यादा नरमी सी है

जहां फूटपाथ के किनारों पर पेड़ो के पत्ते कुछ धुन्दले से हैं
और सडकों पर बेवजह मेले से हैं
जहां गमलों के पौधों में कहीं एक गुलाब भी है
जहां रातों को छत से दिखता एक आफताब भी है

जहां पहलू में बंधा चाबी का एक गुच्छा है
जहां अचारों की अम्बियाँ का स्वाद अभी कच्चा है
जहां आँगन की धूप में कपड़े कुछ पके से हैं
और गिलहरियों के चबाये कुछ चने बिखरे से हैं

जहां चिरय्या के हौद में बाजरा अब भी रहता है
जहां सड़क पर राह चलता कभी भैया कहता है
जहां पेड़ों की ठंडी छांव है
गली के उसी किसी कोने में मेरा मकान है.


-----------------------------------------------Transliterated version--------------------------------------------
Jahaan aasman kuchh zyaada bada sa hai
Jahaan boli ka rang thoda khara sa hai
Jahaan dhoop mein kuchh zyaada garmi si hai
Jahaan haathon mein kuchh zyaada narmi si hai

Jahaan footpath ke kinaron par pedon ke patte kuchh dhundle se hain
aur sadkon par bewajah mele se hain
Jahaan gamlon ke paudhon mein kahin ek gulab bhi hai
Jahaan raaton ko chhat se dikhta ek aftaab bhi hai

Jahaan pehloo mein bandha chabi ka ek guchchha hai
Jahaan acharon ki ambiyan ka swad abhi kachcha hai
Jahaan aangan ki dhoop mein kapde kuchh pake se hain
aur gilhariyon ke chabaye kuchh chane bikhre se hain

Jahaan chirayya ke haude mein bajra ab bhi rehta hai
Jahaan sadak par raah chalta kabhi bhaiya kehta hai
Jahaan pedon ki thandi chhaaon hai
gali ke usi kisi kone mein mera makaan hai.


                                                              -- Archana