Is gul ka koi gulistan bhi nahi.
Ghar ko jaane ka koi rasta bhi nahi.
Jinke bharaose aa baithe the is mehfil mein
Jaana ki unse to hum wabasta hi nahi
Lateefein to sunane aate hain ab bhi humein
Par ab saath koi hansta bhi nahi
Kabhi dil ne baatein keh daali thi sab tumhe
Ab to dil bhi itna behekta hi nahi
Poochhte ho humse ki kyun itne mayoos hain hum
Sach kehna kya tumhe bhi ye pata hi nahi?
-- Archana