Recently, things have been considerably difficult for me on the professional front. I have contemplated various possible scenarios to resolve these things and a solution still eludes me. Nonetheless, these ruminations made me realize how deeply and emotionally connected I feel towards my research, and physics in general. This is an ode to this first love of my life.
-----------------------------------------------------
Teri tasveer se dil chak ho
Ye kismat humein manzoor hai
Par ise dekh kar dum bharna
Is dhadkan ka dastoor hai.
Tu aaye na aaye
Meri nazaron ke bas mein nahi
Par tera intezaar-e-girya hi
Deta inhe noor hai.
Tera paak falaq
Meri khalish se nadaan sahi
Par mera chaahat-e-abr bhi
Barasta door-door hai.
Tujhe chahne waalon mein
Mera naam peechhe aaye shayad
Par meri mohabbat ka charcha
Suna phir bhi mashoor hai.
-- Archana
-----------------------------------------------------
Teri tasveer se dil chak ho
Ye kismat humein manzoor hai
Par ise dekh kar dum bharna
Is dhadkan ka dastoor hai.
Tu aaye na aaye
Meri nazaron ke bas mein nahi
Par tera intezaar-e-girya hi
Deta inhe noor hai.
Tera paak falaq
Meri khalish se nadaan sahi
Par mera chaahat-e-abr bhi
Barasta door-door hai.
Tujhe chahne waalon mein
Mera naam peechhe aaye shayad
Par meri mohabbat ka charcha
Suna phir bhi mashoor hai.
-- Archana